Menu
blogid : 15852 postid : 611514

‘हिन्दी बाजार की भाषा है, गर्व की नहीं’ या ‘हिंदी गरीबों, अनपढ़ों की भाषा बनकर रह गई है’ – क्या कहना है आपका? ‘CONTEST’

TRUST ME,WE CAN DO IT!
TRUST ME,WE CAN DO IT!
  • 6 Posts
  • 8 Comments

SABSE PEHLE MAI SPASHT KARNA CHAHTI HUN KI HUMLOG BHARATWASI HOKAR BHI APNI SANSKAR EWAM SABHYATA KO APNANE SE KATRA RAHE HAIN TO FIR HUMEIN KOI HAQ NAHIN BANTA HAI KI HUM APNE APKO BHARATWASI YA HINDUSTANI KAHEIN.
YOGON SE BOLI JA RAHI BHARAT KI ‘HINDI’ BHASHA AAJ LOGO KO SHARMINDAGI KA BODH KARAATI HAI.LOG ISEY TUCHH BHASHA SAMJHTE HAIN.BHASHAON KI KOI JAATI NAHI HOTI.INSAAN NE SWAYAM KO TO BAANT LIA KAI DHARMON MEIN AUR AB WO BHASHAON KO BHI KHANDIT KARNA CHAHTE HAIN.’HINDI’ BHASHA BOLNE MEIN KAISI SHRMINDAGI-JAHAN HUMNE JANM LIA,JIS MITTI MEIN HUM PAIDA HUE,USS DHARTI KO APNANE SE HUM AAJ JHIJHAKTE HAIN.

BHASHAON KE AADHAR PAR MANUSHYON KO BAATNE KA KYA ARTH HAI?KYA GARIB KE SANTAAN ANGREJI NAHIN BOLTE?AGAR AISA HAI TO MAI YEH BATAANA CHAHTI HUN KI GARIB DIN-RAAT KADI SE KADI PARISHRAM KARKE APNA PEIT KAATKE APNE BACHHON KO PAAL-POSH KR KE EK KABIL WYAKTI BANAATE HAIN.ITNI SHRMINDAGI AGAR MEHSUS HOTI HAI LOGO KO HINDI MEIN WAARTALAAP KARNE SE TO PAIDA HONE KE BAAD JAB VEY APNE HOSH SAMBHAALNE LAAYAK HO JAATE HAIN TO USI WAQT SWAYM KO MAUT K GHAAT KYUN NAHIN UTAR JAATE?KAM-SE-KAM ‘HINDI’ BHASHA KI BADNAAMI TO NAHI HOGI.AGAR KISI BHASHA YA RASHTRA KI IZZAT NAHIN KAR SAKTE HO TO TUMHARA JIWIT REHNA KOI BADI BAAT NAHIN HAI.

SWAYM KI IZZT KARNA LOG PRATHAM UDDHESHYA MAANTE HAIN SWAYM KE LIYE,USI PRAKAR APNI  BHASHA KI BHI IZZAT KARNI CHAHIYE.USKA ACHHE SHRENI MEIN PRACHAAR KARO,USS BHASHA KI MAHATWA KO SAMJHAAO…NA KI USSE MUHH PHERO. MURKH HAI WAH MANUSHYA JO ‘HINDI’ BHASHA KO GARIBON EWAM ANPADHON KI BHASHA KEHTA HAI.UNSE MAI YEH SAWWAL KARNA CHAHUNGI KI TUMNE BAAHRI BHASHA SIKHKE APNE HITT KE BAARE MEIN BAS SOCHA…AUR JO INSAAN SIRF SWAYM KE BAARE MEIN SOCHTA HO,USEY ITNI SAMAJH HO HI KAISE SAKTI HAI KI ‘BHASHA KI MAHATWA, KO SAMAJH SAKEY YA UNKA MULYANKAN KAR SAKEY.MAI SWAYAM HAMESHA AISE LOGON KE BICH MEIN RAHI HUN JO ‘HINDI’ BHASHA KO NEECH DRISHTI SE DEKHTE HAIN PARANTU MAI KABHI BHI SWAYAM KE HITT KE LIYE APNE RASHTRA YA BHASHA KA ISTEMAAL BUREY TARIKE SE NAHIN KI BALKI UNKA MAHATWA SAMJHAAI JISSE KI UNHEIN BHI YEH GYAT HUA KI ‘HINDI’ BHASHA MEIN KOI KHARAABI NAHIN HAI BALKI JO ISS BHASHA KO GARIBON EWAM ANPADHON KI BHASHA SAMAJHTE HAIN,KHARAABI UNMEIN HAI.

SIKHNA HAI TO VIDESHIYON SE YEH BHI SIKHO KI WEY APNE SANSKAAR-SABHYATA KO CHHODKAR AAJ HUMARE RANG-ROOP EWAY BHASHA KO SIKHNE KA SANKALP ETE HAIN

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    CAPTCHA
    Refresh